Sunday 16 March 2014

Fruits beauty tips

Fruits Sey Husn-o-Khubsurti In Urdu
Khubsurat aur hasin nazar anay ki namanna har aurat ki fitrat mein shamil hai yehi wajah hai kay khawatin apnay husn bay misal ko mazid nikharnay aur sunwarnay kay liye din rat jatan karti rehti hai. insani jisam mein chahra khususi ahmiyat ka hamil hai aur phir yeh bat to so fisad sach hai kay log hamara chahrah hi sab say pehlay daikhtay hain to phir kiyun na is ki har mumkina hifazat aur nigahdasht ki jai. Husn ko nikharnay aur isay jila bakhashnay kay liye mehangi aur imported creama aur face lotion ka istamal karna zaruri nahin hai.
Khubsurti Husn
Yaad rahay kay beauty parlours say hasil ki gaee khubsurti daimi nahin hoti aur baz oqat mahangay aur ghair mulki cosmetics aur face cream waghairah istemal karnay kay bawajud chahray par tazgi o shuguftagi ki ramaq bhi dikhaee nahin daiti, baz oqat in products kay side effect bhi ronuma hojatay hain jin kay bais tamam tar husn mand par jata hai.
Jaisa kay aap janti hain kay chahrah jisam ki andruni halat o kaifiyat ka turjuman hota hai agar kisi ko bay khowabi ki shikayat hai to is ki ankhon kay gird halqay paida hojain gay, honton ka siya hona khun ki kharabi ki alamat hai. susti kahili aur thakan pait ki kharabi ki alamat ko zahir karti hai alawah azin andruni jismani bimariyan chahray ki sari ronaq ko tehas nahas kar daiti hain laihaza apni shakhsiyat ko pur kashish bananay kay liye apnay pait ka khas khayal rakhain apni ghiza mein dudh, machli, sabziyan aur phal aur pani ka istemal wafar miqdar mein karain agar aap apni ghiza par dhiyan dain gi to is kay khush kun asarat aap ki puri shakhsiyat par zahir hongay.
Phal bani Noh insane kay liye bohot bari namat khudawandi hain. Allah tala nay har phal ko bay panah khowas ka hamil banaya hai hatta kay baz phalon kay chilkay bhi insani jisam kay liye tonic ka darja rakhtay hain aap yaqinan phalon ka istemal sehat o tandrusti kay hasul kay liye karti hon gi ahiye aaj ham aap ko batatay hian kay aap phalon kay zariyeapnay usn ko woh atisha kis terha banasakti hain? Ji han! Aap mukhtalif phalon kay zariye apnay husn mein izafa karkay chahray ko farhat, tazgi aur dilkashi say faizyab kar sakti hain.Agar aap ka badan bohot patla hai to aap rozana do bananas kha kar apni sehat-o-wazan mein khatir khowah izafa kar sakti hain is kay bar aks agar aap ka jisam farihi meil hai aur aap aaj kal dieyting kar rahi hain to rozana aik banana ka istemal bator sweet dish aap kay jism ko matluba ghizayat baham pohonchai ga.
Yeh bat ssarasar bay buniyad hai kay khowatin dieting kar rahi hon woh banana, angur ya chicco say hattul imkan parhaiz karain, har phal apnay ander ghizayat ka khana liye huway hai laihaza in say kanarah kashi ikhtiyar karna kisi tor durust nahin hai. Banana khushk jild kay liye bay had mufid hai khushk aur rukhi jild ki hamil khowatin adhay kailay mein aik chamcha shahad achi tarha milalain aur chahrah par lagain bis minute bad chahrah dholain aap ki jild mein chamak aur glow paida hojaiga.

No comments:

Post a Comment